Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon : Mein Jab Bhi Akeli Hoti HoonMein jab bhi akeli hoti hoon Mein jab bhi akeli hoti hoon, tum chupkey se aa jatey hOr jhaank kay meri aankhon mein beetay din yaad dilatey hMastana hawa kay jhonkon se har baar woh pardey ka hilnPardey ko pakarney ki dhunn mein do ajnabi haatoun ka milnAankhon mein dhunwa cha jana sasoun mein sitarey se khilnRasty mein tumhara mur mur kar takna wo mujhe jatey jateAur mera thitak kar ruk jaana, chilman kay kareb aatey aateNazroun ka taras kar reh jaana, ek aur jhalak paatey paateBaaloun ko sukhaney ki khatir, kothey pe woh mera aa jaanAur tum ko muqabil patey hi kuch sharmana, kuch bal khaanHumsayon kay dar se katrana, ghar walon kay dar se ghabranRo ro kay tumhein khat likhti hoon, aur khud pardh kar ro lati hooHalaat kay taptey toufaan mein jazbaat ki kashti khayti hooKaisey ho, kahaan ho, kuch tou kaho, mein tum ko sadayien deyti hooMein jab bhi akeli hoti hoon, tum chupkey se aa jatey hAur jhaank kay meri aankhoun mein beetay dinn yaad dilate
Jindgi chhoti hai is se darta kyu haiJindgi chhoti hai is se darta kyu haiPyar to ho jata hai ise karta kyu haiMai to pyar me kardu jaan bhi qurbanPar pata to chle mujhe pyar karta kon hai..
Door Jaane Ka Hosla Na HuaDoor jaane ka hosla na huaDoor rahakar bhi tu juda na huTujhse milakar kisi or se kya milatKoi tere jaisa humnavaa na mil
Zindagi Mein To Sabhi Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte HainZindagi mein to sabhZindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hainMain to markar bhi meri jaan tujhe chahoongaTu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhkoYe meri umar mohabbat ke liye thhodi haiEk zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis parMaine wo saans bhi tere liye rakh chhodi haiTujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaApne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liyeMaine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujheMain tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoonMaine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhePyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaTeri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraagJab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aayeTujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhkoDair tak apne badan se teri khushboo aayeTu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoongaMain to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga
Dil Dhoondhta HaiDil dhoondhta hai, phir waheDil dhoondhta hai, fir wahee furasat ke raat dinBaithhe rahe tasavvur-e-jaanaa kiye huyeJaadon kee narm dhoop aur, aangan mein let karAankhon pe khinch kar tere, aanchal ke saaye koAaundhe pade rahe kabhee, karawat liye huyeBarfilee sardiyon mein, kisi bhee pahaad parWaadee mein gunjatee huyee, khaamoshiyaan sooneAankhon mein bheege bheege se, lamhe liye huyeYaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chaleThhandee safed chaadaro pe jaage der takTaaron ko dekhate rahe chhat par pade huye
Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq HaiMeri zindagi to firaaq haMeri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahiWo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahiHamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahiHamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahiSar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool haiWo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahiNa ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahiMai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahiJo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthayeJo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahiUseh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge humWo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi